Home » Arti » Om Jai Jagdish Hare - Aarti in English

Om Jai Jagdish Hare - Aarti in English

Om Jai Jagdish Hare Arti of Lord VishnuOm Jai Jagdish Hare is a Hindu bhajan (devotional song), composed in or near the 1870s by Pandit Shardha Ram Phillauri in Punjab, India. Although a Hindi language composition, it is widely sung by many Hindus within the Indian Diaspora, regardless of their mother tongues. Om Jay Jagdish Hare – prayer is sung by the entire congregation at the time of Aarti, worship of the deity using a festal lamp. Om Jai Jagdish Hare is one the most famous Aartis of Lord Jagdish / Narayan / Vishnu, who is also known as Lord Satyanarayan. This famous Aarti of Lord Jagdish is recited on most occasions related to Lord Satyanarayan.

|| CHAUPAI ||

Om Jai Jagadish Hare,
Swami Jai Jagadish Hare,
Bhakt Jano Ke Sankat,
Daas Jano Ke Sankat,
Kshan Mee Door Kare,
Om Jai Jagadish Hare …(1)

Jo Dhyaavee Phal Paave,
Dukh Bin See Mann Ka,
Swami Dukh Bin See Manna Ka,
Sukh Sampati Ghar Aavee,
Sukh Sampati Ghar Aavee,
Kasht Mite Tan Ka,
Om Jai Jagadish Hare …(2)

Maat Pitaah Tum Mere,
Sharan Karo Kiski,
Swami Sharan Karo Kiski,
Tum Bin Aur Na Duja,
Tum Bin Aur Na Duja,
Aas Karoon Jiski,
Om Jai Jagadish Hare …(3)

Tum Puran Parmaatama,
Tum Anthariyaami,
Swami Tum Anthariyaami,
Par Brahm Parmeshwar,
Par Brahm Parmeshwar,
Tum Sabke Swami,
Om Jai Jagadish Hare …(4)

Tum Karuna Ke Saagar,
Tum Paalan Karta,
Swami Paalan Karta,
Mein Moorakh Khalkaami,
Main Sevak Tum Swami,
Kripa Karoo Bartha,
Om Jai Jagadish Hare …(5)

Tumho Eek Aghochar,
Sabkee Praan Pathi,
Swami Sabkee Praan Pathi,
Kis Midh Milodayamaya,
Kis Midh Milodayamaya,
Tum Ho Mein Kumathi,
Om Jai Jagadish Hare …(6)

Deen Bhandu Dukh Harka,
Rakshak Tum Meere,
Swami Rakshak Tum Meere,
Apnee Haath Vuthavo,
Apnee Sharan Lagavo,
Dwar Padaa Teere,
Om Jai Jagadish Hare …(7)

Vishay Vihaar Mitaao,
Paap Haro Deva,
Swami Paap Haro Deva,
Shraddha Bhakti Badhaao,
Shraddha Bhakti Badhaao,
Santan Ki Seva,
Om Jai Jagdish Hare …(8)

Om Jai Jagdish Hare,
Swami Jai Jagdish Hare,
Bhakt Jano Ke Sankat,
Daas Jano Ke Sankat,
Kshan Mein Door Kare,
Om Jai Jagadish Hare …(9)

Om Jai Jagdish Hare,
Swami Jai Jagdish Hare
Bhakt Jano Ke Sankat,
Daas Jano Ke Sankat,
Kshan Mein Door Kare,
Om Jai Jagadish Hare …(10)

Video/Audio of Om Jai Jagdish Hare - Aarti